Powered by Blogger.
RSS

Ranjhana Movie Dialouge


Bas Yahi Thi Meri Kahani.... Ek Ladki Thi Jo Bagal Mein Bhaithi Thi..
Ek Kuch Doctor Jo Abhi Bhi Is Umeed Me The Ki Shayad Yeh Murda Phir Jaag Pade..
Ek Dost Tha Jo Pagal Tha..
Ek Aur Ladki Thi Jisne Apna Sab Kuch Haar Diya Tha Mujhpe..
Meri Maa Thi, Baap Tha, Banaras Ki Galiyaan Thi
Aur Yeh Ek Hamaara Shareer Tha Jo Hume Chord Chuka Tha..
Aur Yeh Mera Seena Jisme Ab Bhi Aag Baaki Thi..
Hum Uth Sakte The Par Kiske Liye.. Hum Cheekh Sakte The Par Kiske Liye..
Mera Pyaar Zoya, Banaras Ki Galiyaan, Bindiya, Muraari Sab Mujhse Chooth Raha Tha...
Mere Seene Ki Aag Yaa Toh Mujhe Zinda Kar Sakti Thi Ya Fir Mujhe
Mar Sakti Thi, Par Saala Ab Uthe Kaun, Kaun Phir Se Mehnat Kare Dil Lagane Ko,
Dil Tudwane Ko, Abe Koi Toh Aawaj De Ke Rok Lo,
Ye Jo Ladki Murda Si Aankhe Liye Baithi Hai Bagal Me,
Aaj Bhi Haan Bol De Toh Mahadev Ki Kasam Waapas Aa Jayen.
Par Nahi, Ab Saala Mood Nahi.
Aankhe Moond Lene Me Hi Sukh Hai, So Jaane Me Hi Bhalayi Hai.
Par Uthenge Kisi Din Ussi Ganga Kinare Damru Bajane Ko,
Unhi Banaras Ke Galiyo Me Daud Jaane Ko,
Kisi Zoya Ke Ishq Me Phir Se Pad Jaane Ko..!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

1 comments:

Adarsh.r.nair said...

amazing dilouge

Post a Comment